https://youtu.be/jHsZwTBKi_I
Hasti apni habaab kee see hai
ye numaaish saraab kee see hai
naazuki us ke lab kee kya kahiye
pankhudi ik gulaab kee see hai
baar-baar us ke dar pe jaata hoon
haalat ab iztiraab kee see hai
main jo bola kahaa ki ye aawaaz
usee khaana-kharaab kee see hai
‘Meer’ un neem-baaz aankhon mein
saari masti sharaab kee see hai
– A Ghazal by Meer Taqi Meer
(हबाब – bubble, सराब – illusion, इज़्तिराब – restlessness)
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें